bhajan 27:1-14
daavid ki rachna.
27 yahova mera prakash+ aur mera uddharkarta hai.
fir mujhe dar kiska?+
yahova mere jeevan ka mazboot gadh hai.+
fir main kisi se kyon khauf khaaun?
2 dusht mujhe faad khaane ke liye mujh par toot pade,+magar mere bairi aur dushman khud ladkhadakar gir pade.
3 chahe koi sena mere khilaf chhaavni daale,tab bhi mera dil nahin darega.+
chahe mere khilaf yuddh chhid jaaye,tab bhi mera bharosa atal rahega.
4 mainne yahova se sirf ek cheez maangi hai,yahi meri dili tamanna haiki main saari zindagi yahova ke bhavan mein nivas karoon+taaki yahova ki manoharta nihar sakoonaur uske mandir* ko ehsan-bhare dil se* dekhta rahoon.+
5 kyonki sankat ke din woh mujhe apne aasre mein chhipa lega,+apni gupt jagah mein, apne tamboo mein chhipa lega,+woh mujhe unchi chattan par chadha dega.+
6 ab mera sir dushmanon se uncha ho gaya hai jo mujhe ghere huye hain,main parmeshvar ke tamboo mein khushi se jayjaykar karte huye balidan chadhaunga,yahova ki taareef mein geet gaaunga.*
7 hey yahova, jab main pukaroon to meri sunnaa,+mujh par kripa karna aur mujhe javab dena.+
8 mere man ne kaha hai ki toone yah aagya di hai,“meri manzoori paane ke liye mehnat karta reh.”
hey yahova, mainne teri manzoori paane ki thaan li hai.+
9 mujhse munh na fer lena,+na hi gusse mein aakaar apne sevak ko thukra dena.
tu mera madadgar hai,+mera uddhaar karnevale parmeshvar, mujhe tyag na dena, mujhe chhod na dena.
10 chahe mere maata-pita mujhe chhod dein,+fir bhi yahova mujhe apna lega.+
11 hey yahova, mujhe apni raah sikha,+dushmanon se bachane ke liye mujhe seedhai ki raah par le chal.
12 mujhe mere bairiyon ke havale na kar,+kyonki mere khilaf jhoothe gavah uth khade huye hain,+woh mujhe maarne-peetne ki dhamki dete hain.
13 agar mujhe vishvas na hota ki yahova mere jeete-ji* bhalai karega,to na jaane mera kya hota!*+
14 yahova par aasha rakh,+himmat se kaam le, apna dil mazboot rakh.+
haan, yahova par aasha rakh.
kai footnote
^ ya “pavitra-sthan.”
^ ya “dhyan karte huye.”
^ ya “sangeet bajaunga.”
^ shaa., “jeeviton ke desh mein.”
^ ya shaayad, “beshak, mujhe vishvas hai ki main jeete-ji yahova ki bhalai dekhoonga.”