filippiyon ke naam chitthi 4:1-23
4 isliye mere bhaaiyo, tum jo meri khushi aur mera taaj ho+ aur jinse main pyar karta hoon aur jinse milne ke liye main taras raha hoon, tum prabhu mein isi tarah mazbooti se khade raho.+
2 main yooodiya ko samjhata hoon aur suntukhe ko bhi ki woh prabhu mein ek jaisi soch rakhein.+
3 haan, mere sachche sahkarmi, main tujhse bhi guzarish karta hoon ki in donon ki madad karta reh kyonki inhonne khushkhabri sunane mein mere saath aur klemeins aur mere baaki sahkarmiyon ke saath jinke naam jeevan ki kitab mein hain,+ kandhe-se-kandha milakar kadi mehnat ki hai.*
4 prabhu mein hamesha khush raho. main ek baar fir kehta hoon, khush raho!+
5 sab log jaan jaayen ki tum lihaz karnevale insan ho.+ prabhu paas hai.
6 kisi bhi baat ko lekar chinta mat karo,+ magar har baat ke baare mein prarthna aur minnaton aur dhanyavad ke saath parmeshvar se bintiyaan karo.+
7 tab parmeshvar ki woh shaanti+ jo samajh se pare hai, maseeh yeeshu ke zariye tumhare dil ki+ aur tumhare dimag ke sochne ki taakat* ki hifazat karegi.
8 aakhir mein bhaaiyo, jo baatein sachchi hain, jo baatein gambheer soch-vichar ke laayak hain, jo baatein nek hain, jo baatein saaf-suthri* hain, jo baatein chahne laayak hain, jo baatein achhi maani jaati hain, jo baatein sadgun ki hain aur jo taareef ke laayak hain, unhin par dhyan dete raho.*+
9 jo baatein tumne mujhse seekhin aur sweekar kin, saath hi mujhse sunin aur mujhmein dekhin, unhein maante raho+ aur shaanti ka parmeshvar tumhare saath rahega.
10 main prabhu mein bahot khush hoon ki ab fir se tum mere bhale ke baare mein sochne lage ho.+ tumhein pehale bhi meri chinta thi, magar tumhein yah dikhane ka mauka nahin mila tha.
11 aisa nahin ki mujhe kisi cheez ki zaroorat hai isliye main aisa kah raha hoon, kyonki main chahe jaise bhi haal mein rahoon usi mein santosh karna mainne seekh liya hai.+
12 main jaanta hoon ki kam cheezon mein guzara karna kaisa hota hai+ aur yah bhi jaanta hoon ki bharpoori mein jeena kaisa hota hai. mainne har baat mein aur har tarah ke haalaat mein yah raaz seekh liya hai ki bharpet hona kaisa hota hai aur bhookhe pet hona kaisa hota hai, bhara-poora hona kaisa hota hai aur tangi jhelna kaisa hota hai.
13 isliye ki jo mujhe taakat deta hai, usi se mujhe sab baaton ke liye shakti milti hai.+
14 fir bhi tumne yah achha kiya ki mere dukhon mein mera saath diya.
15 filippi ke bhaaiyo, tum yah bhi jaante ho ki jab tumne pehali baar khushkhabri suni aur main makiduniya se ravana hua, to tumhare alava kisi bhi mandli ne na to meri madad ki aur na mujhse madad li.+
16 kyonki jab main thisslunike mein tha, tab tumne meri zaroorat poori karne ke liye mujhe ek baar nahin balki do baar kuch bheja tha.
17 aisa nahin hai ki main tumse tohfa paane ki ummeed kar raha hoon, balki main woh fal paana chahta hoon jo tumhare khaate mein aur achhai jod dega.
18 magar mere paas zaroorat ki har cheez hai aur bharpoor hai. ab mujhe koi kami nahin hai kyonki tumne ipafroditus+ ke haathon tohfa jo bheja hai. yah tohfa parmeshvar ko sweekar honevala aisa khushboodar balidan hai+ jisse woh behad khush hota hai.
19 badle mein mera parmeshvar bhi apni mahima ki daulat se maseeh yeeshu ke zariye tumhari har zaroorat poori karega.+
20 hamare parmeshvar aur pita ki mahima hamesha-hamesha tak hoti rahe. aameen.
21 har ek pavitra jan ko jo maseeh yeeshu ke saath ekta mein hai, mera namaskar kehna. jo bhaai mere saath hain woh tumhein namaskar kehte hain.
22 sabhi pavitra jan, khaaskar jo samrat* ke gharane ke hain,+ tumhein namaskar kehte hain.
23 tum jo badhiya jazba dikhate ho us vajah se prabhu yeeshu maseeh ki maha-kripa tum par bani rahe. aameen.
kai footnote
^ ya “kada sangharsh kiya hai.”
^ ya “tumhare dimag; tumhare vicharon.”
^ ya “sochte raho; manan karte raho.”
^ ya “shuddh.”
^ yoonani mein “kaisar.”