luka ke mutabik khushkhabri 15:1-32
15 fir sabhi kar-vasoolnevale aur unke jaise doosre paapi, yeeshu ki sunnae ke liye uske paas aane lage.+
2 yah dekhkar fareesi aur shaastri badbadane lage, “yah to paapiyon ko bhi apne paas aane deta hai aur unke saath khaata hai.”
3 tab yeeshu ne unhein yah misal di:
4 “tummein aisa kaun hai jiske paas agar 100 bhedein hon aur unmein se ek kho jaaye, to woh baaki 99 ko veerane mein chhodkar us ek ko dhoondhne na jaaye? kya woh us khoyi hui bhed ko tab tak nahin dhoondhta rahega jab tak ki woh mil na jaaye?+
5 aur jab woh use mil jaati hai, to woh use apne kandhon par utha leta hai aur khushi se foola nahin samata.
6 woh ghar pahunchkar apne doston aur padosiyon ko bulata hai aur unse kehta hai, ‘mere saath khushiyaan manao kyonki mujhe apni khoyi hui bhed mil gayi hai.’+
7 main tumse kehta hoon ki isi tarah ek paapi ke pashchatap karne par swarg mein itni zyada khushiyaan manayi jaayengi,+ jitni ki aise 99 nek logon ke liye nahin manayi jaatin, jinhein pashchatap ki zaroorat nahin.
8 ya aisi kaun-si aurat hogi jiske paas das chaandi ke sikke* hon aur agar unmein se ek kho jaaye, to woh deeya jalakar poore ghar mein jhaadoo na lagaye aur us sikke* ko bade jatan se tab tak na dhoondhe, jab tak ki woh mil nahin jaata?
9 aur jab woh sikka use mil jaata hai, to apni saheliyon aur padosinon ko bulati hai aur kehti hai, ‘mere saath khushiyaan manao kyonki mujhe apna khoya hua sikka* mil gaya hai.’
10 main tumse kehta hoon ki pashchatap karnevale ek paapi ke liye bhi, isi tarah parmeshvar ke swargdoot bahot khushiyaan manate hain.”+
11 fir usne kaha, “ek aadmi ke do bete the.
12 chhote ne apne pita se kaha, ‘pita, jaaydad mein se mera hissa mujhe de de.’ tab pita ne apni jaaydad un donon mein baant di.
13 kuch din baad, chhote bete ne apna sabkuch batora aur safar karke kisi door desh chala gaya. vahaan usne aiyashi mein apni saari sampatti uda di.
14 jab uske saare paise khatm ho gaye, to us poore desh mein ek bhaari akaal pada aur woh kangal ho gaya.
15 yah naubat aa gayi ki woh us desh ke ek aadmi ke yahaan kaam karne gaya, jisne use apni zameen mein sooar+ charane bheja.
16 woh un faliyon ko khaane ke liye bhi tarasne laga jinhein sooar khaate the aur use koi kuch nahin deta tha.
17 jab uski akaal thikane aayi, to usne kaha, ‘mere pita ke yahaan dihadi par kaam karnevale kitne hi mazdoor hain jinke paas roti ki koi kami nahin. aur ek main hoon jo yahaan bhookh se mar raha hoon!
18 ab main safar karke vaapas apne pita ke paas jaaunga aur usse kahoonga, “pita, mainne swarg ke aur tere khilaf paap kiya hai.
19 main is laayak nahin ki tera beta kehlaun. mujhe apne yahaan mazdoor ki tarah rakh le.”’
20 isliye woh utha aur apne pita ke paas gaya. abhi woh kaafi door hi tha ki pita ki nazar us par padi aur woh tadap utha. woh dauda-dauda gaya aur bete ko gale laga liya aur bahot pyar se use choomne laga.
21 tab bete ne usse kaha, ‘pita, mainne swarg ke aur tere khilaf paap kiya hai.+ main is laayak nahin ki tera beta kehlaun.’
22 magar pita ne apne daason se kaha, ‘jaldi jaao! aur sabse badhiya choga laakaar ise pehnao. iske haath mein angoothi aur paanvon mein jootiyaan pehnao.
23 ek mota-taaza bachhda laakaar kaato ki hum khaayen aur khushiyaan manayen.
24 kyonki mera yah beta jo mar gaya tha, ab zinda ho gaya hai.+ yah kho gaya tha aur ab mil gaya hai.’ fir woh sab milkar khushiyaan manane lage.
25 us aadmi ka bada beta khet mein tha. khet se lautte vakt jab woh ghar ke paas pahuncha, to use gaane-bajane aur naachne ki aavaz sunayi di.
26 usne ek sevak ko apne paas bulakar poochha ki yah sab kya ho raha hai.
27 sevak ne kaha, ‘tera bhaai aaya hai aur tere pita ne ek mota-taaza bachhda katvaya hai kyonki uska beta use sahi-salamat* vaapas mil gaya hai.’
28 magar bade bete ko bahot gussa aaya aur usne ghar ke andar jaane se inkar kar diya. tab uska pita baahar aaya aur use manane laga.
29 usne apne pita se kaha, ‘main barson se teri gulami kar raha hoon aur mainne ek baar bhi tera hukm nahin taala. fir bhi toone mujhe kabhi bakri ka ek bachcha tak nahin diya ki main apne doston ke saath mauj kar sakoon.
30 lekin jaise hi tera yah beta vaapas aaya, jisne teri jaaydad veshyaon par uda di hai,* toone iske liye mota-taaza bachhda katvaya.’
31 tab pita ne usse kaha, ‘mere bete, tu to hamesha se mere saath hai aur jo kuch mera hai woh sab tera hi to hai.
32 lekin aaj ka yah din khushiyon ka din hai, hamein magan hona chahiye kyonki tera yah bhaai jo mar gaya tha, ab zinda ho gaya hai. hamne ise kho diya tha, lekin ab paa liya hai.’”