mika 7:1-20

  • israel ki buri haalaat (1-6)

    • apne hi gharane ke log dushman honge (6)

  • ‘main parmeshvar ke vakt ka intazar karoonga’ (7)

  • parmeshvar ke log sahi saabit huye (8-13)

  • mika ki prarthna; parmeshvar ki taareef ki (14-20)

    • yahova ka javab (15-17)

    • ‘yahova jaisa parmeshvar kaun hai?’ (18)

7  haay! main us aadmi jaisa hoon,jise garmiyon ke fal ikattha hone ke baad,angooron ki katai aur unke beenne ke baad,khaane ko angoor ka ek guchha tak nahin milta,na anjeer ka pehala fal milta hai, jiske liye main tarasta hoon.   vafadar insan dharti se mit gaya,aadmiyon mein koi bhi seedha-sachcha nahin raha.+ sab-ke-sab khoon karne ke liye ghaat lagate hain.+ harek apne hi bhaai ka shikar karne ke liye bada jaal bichhata hai.   bure kaam karne mein woh ustad hain,+haakim maang-par-maang karta hai,nyayi, nyay karne ki keemat maangta hai,+rutbedar aadmi khulkar apni ichha batata hai,+ye sab milkar jaal bunte hain.   unmein jo sabse achha hai, woh kaanton ki tarah chubhta haiaur jo sabse seedha hai, woh kanteele baade se bhi nukeela hai. woh din aa raha hai jiske baare mein tumhare pehredaron ne bataya tha,jis din tumse hisab liya jaayega,+isliye tum par aatank chhaa gaya hai.+   tu na apne saathi par,na hi apne jigri dost par bharosa karna.+ yahaan tak ki apni beevi se bhi sambhaalkar bolna,   kyonki beta apne pita ko tuchh samjhega,beti apni maa ke khilaf ho jaayegi+aur bahoo apni saas ke.+ek aadmi ke dushman uske apne hi gharane ke log honge.+   lekin jahaan tak meri baat hai, main yahova ki raah dekhoonga,+apne uddharkarta, apne parmeshvar ke vakt ka intazar karoonga.*+ mera parmeshvar meri sunega.+   hey meri dushman, mere haal par khush mat ho. bhale hi main gir gaya hoon, par main khada hounga,bhale hi main andhkar mein pada hoon, magar yahova meri raushni hoga.   mainne yahova ke khilaf paap kiya hai,main uska krodh tab tak sehta rahoonga,+jab tak ki woh mera mukadma nahin ladta aur mujhe nyay nahin dilata. woh mujhe nikaalkar ujale mein laayegaaur main uski neki dekhoonga. 10  meri dushman jo mujhse kehti thi,“tera parmeshvar yahova kahaan hai?”+ woh bhi yah dekhegi aur bahot sharminda hogi. use sadak ki mitti ki tarah raunda jaayegaaur main apni aankhon se yah hote dekhoonga. 11  us din teri pattharon ki deevar banayi jaayegi,us din teri sarhadein badhayi jaayengi.* 12  us din door-door se log tere paas aayenge,ashshoor se aur misra ke shehron se aayenge.misra se lekar mahanadi* tak,ek samundar se lekar doosre samundar takaur ek pahad se lekar doosre pahad tak ke sab log aayenge.+ 13  desh apne nivasiyon ki vajah se,unke kaamon ki vajah se ujaad diya jaayega. 14  laathi lekar apne logon ki charvahi kar,haan, us jhund ki jo teri jaageer hai,+jo jangal mein falon ke baag ke beech akela rehta tha. unhein pehale ki tarah baashaan aur gilad mein charne de.+ 15  “main tum logon ko adbhut kaam dikhaunga,jaise mainne tumhein misra se chhudate vakt dikhaye the.+ 16  desh-desh ke log bhi yah dekheingeaur shaktishali hone par bhi woh sharminda honge.+ woh apne munh par haath rakheinge, unke kaan behre ho jaayenge, 17  woh saanp ki tarah dhool chaateinge,+reingnevale jantuon ki tarah apne mazboot gadh se kaanpte huye nikleinge. woh khauf khaate huye hamare parmeshvar yahova ke paas aayengeaur uske* saamne thar-thar kaanpeinge.”+ 18  tere jaisa parmeshvar kaun hai,jo apni jaageer ke bache huye logon ke gunah maaf karta hai aur unke apradh yaad nahin rakhta?+ tera gussa hamesha tak nahin bana rehta,kyonki atal pyar se tujhe khushi milti hai.+ 19  tu hum par fir se daya karega,+ hamare gunahon ko raund dega, tu hamare sab paapon ko samundar ki gehraiyon mein feink dega.+ 20  jaise tu yakub ke saath sachchai se pesh aaya,jaise toone abraham ke liye apne atal pyar ka saboot diya,vaise hi tu hamare saath pesh aayega,kyonki toone bahot pehale hamare purkhon se iski shapath khaayi thi.+

kai footnote

ya “main sabraa rakhoonga aur intazar karoonga.”
ya shaayad, “farman door kiya jaayega.”
yaani farat nadi.
shaa., “tere.”