nirgaman 38:1-31
38 usne babool ki lakdi se hom-bali ki vedi banayi. yah vedi chaukor thi, lambai paanch haath* aur chaudai paanch haath. uski unchai teen haath thi.+
2 usne vedi ke chaaron konon par sing banaye. usne vedi ke chaaron konon ko ubhra hua banakar singon ka aakaar diya. fir usne vedi par taamba madha.+
3 usne vedi ke saath istemal honevali ye saari cheezen banayin: baaltiyaan, belche, katore, kaante aur aag uthane ke karchhe. usne ye saari cheezen tambe se banayin.
4 usne vedi ke liye tambe ki ek jaali bhi banayi aur use andar lagaya. ise vedi ke kinare se thoda neeche yaani vedi ke beech mein lagaya.
5 usne chaar kade dhaalkar banaye aur unhein vedi ke chaaron konon par, jaali ke paas lagaya taaki unke andar woh dande daale jaayen jinke sahare vedi uthayi jaati.
6 iske baad usne babool ki lakdi se dande banaye aur un par taamba madha.
7 usne dandon ko vedi ke donon taraf ke kadon ke andar daala taaki unke sahare vedi uthayi jaaye. usne yah vedi takhton ko jodkar ek peti ke aakaar mein banayi aur use oopar aur neeche khula banaya.
8 fir usne tambe ka haud+ aur uske liye tambe ki tek banayi. inhein banane ke liye usne un aurton ke aaine* istemal kiye jo bheint ke tamboo ke dvar par thehraye gaye intazam ke mutabik seva karti thi.
9 fir usne pavitra dere ke liye ek aangan banaya.+ usne aangan ke chaaron taraf ghera banane ke liye bate huye badhiya malmal se kanatein taiyar kin. dakshin mein kanaton ki kul lambai 100 haath thi.+
10 kanaton ko lagane ke liye 20 khambhe aur tambe ki 20 khaanchedar chaukiyaan thi. in khambhon ke ankade aur unke chhalle chaandi ke the.
11 uttar ki kanaton ki kul lambai bhi 100 haath thi. unhein lagane ke liye 20 khambhe aur tambe ki 20 khaanchedar chaukiyaan thi. in khambhon ke ankade aur unke chhalle chaandi ke the.
12 magar pashchim ki kanaton ki kul lambai 50 haath thi. in kanaton ko lagane ke liye das khambhe aur das khaanchedar chaukiyaan thi. in khambhon ke ankade aur unke chhalle chaandi ke the.
13 poorab yaani jahaan sooraj ugta hai, vahaan ki chaudai 50 haath thi.
14 vahaan aangan ke dvar ke daayin taraf ki kanatein 15 haath lambee thi. unke liye teen khambhe aur teen khaanchedar chaukiyaan thi.
15 aangan ke dvar ke baayin taraf ki kanatein bhi 15 haath lambee thi. unke liye teen khambhe aur teen khaanchedar chaukiyaan thi.
16 aangan ke ghere ke liye saari kanatein bate huye badhiya malmal se taiyar ki gayi thi.
17 in khambhon ki khaanchedar chaukiyaan tambe ki thi, khambhon ke ankade aur chhalle chaandi ke the. in khambhon ke oopri siron par chaandi madhi gayi aur sabhi khambhon ke jod chaandi ke banaye gaye.+
18 aangan ke dvar ka parda neele dhaage, bainjni oon, surkh laal dhaage aur bate huye badhiya malmal se bunkar taiyar kiya gaya. is parde ki lambai 20 haath thi aur unchai aangan ke ghere ki kanaton ki tarah 5 haath thi.+
19 iske liye tambe ke chaar khambhe aur chaar khaanchedar chaukiyaan thi. in khambhon ke ankade chaandi ke the aur khambhon ke oopri sire aur chhalle chaandi se madhe huye the.
20 dere ki saari khoontiyaan aur poore aangan ki khoontiyaan tambe ki thi.+
21 moosa ki aagya ke mutabik un saari cheezon ki soochi taiyar ki gayi jo pavitra dera yaani gavahi ke sandook ka dera+ banane mein istemal hui thi. yah zimmedari leviyon ko di gayi+ aur unhonne haaroon yaajak ke bete itamar ke nirdeshan mein yah soochi taiyar ki jo aage di gayi hai.+
22 yahooda gotra ke baslel+ ne, jo oori ka beta aur hoor ka pota tha, woh saara kaam kiya jiski aagya yahova ne moosa ko di thi.
23 aur uske saath daan gotra ka oholeeab+ tha jo aheesamak ka beta tha. oholeeab haath ki kaareegari aur kadhai ke kaam mein kaafi hunarmand tha aur neele dhaage, bainjni oon, surkh laal dhaage aur badhiya malmal se bunai karne mein bhi kushal tha.
24 pavitra-sthan ke kaam mein 29 tode* aur 730 shekel* sona istemal hua tha. yah maap pavitra-sthan ke shekel* ke mutabik tha. yah saara sona us sone ke barbar tha jo hilaye jaanevale chadhave ke taur par arpit kiya gaya tha.+
25 aur jitne israeli aadmiyon ke naam likhe gaye the unki di hui kul chaandi, pavitra-sthan ke shekel* ke mutabik 100 tode aur 1,775 shekel thi.
26 har aadmi ne pavitra-sthan ke shekel* ke mutabik aadha shekel chaandi laakaar di thi. kul milakar 6,03,550 aadmiyon ke naam likhe gaye the jinki umra 20 ya usse zyada thi.+
27 pavitra-sthan aur parde ke khambhon ke liye jo khaanchedar chaukiyaan dhaalkar banayi gayi thi unke liye 100 tode chaandi istemal hui. 100 khaanchedar chaukiyon ke liye 100 tode chaandi, yaani ek chauki ke liye ek toda chaandi.+
28 usne 1,775 shekel chaandi khambhon ke ankade banane, khambhon ke oopri siron ko madhne aur khambhon ke liye jod taiyar karne mein istemal ki.
29 jo taamba chadhave* mein diya gaya tha woh 70 tode aur 2,400 shekel taamba tha.
30 is tambe se usne ye saari cheezen banayin: bheint ke tamboo ke dvar ke liye khaanchedar chaukiyaan, tambe ki vedi, uski jaali aur vedi ke saath istemal honevali saari cheezen,
31 poore aangan ke liye khaanchedar chaukiyaan, aangan ke dvar ke liye khaanchedar chaukiyaan, dere ki saari khoontiyaan aur aangan ki saari khoontiyaan.+
kai footnote
^ yaani dhaatu ko khoob chamkakar taiyar kiye gaye aaine.
^ ya “pavitra shekel.”
^ ya “pavitra shekel.”
^ ya “pavitra shekel.”
^ ya “hilakar diye jaanevale chadhave.”