yashayah 10:1-34

  • israel par parmeshvar ka haath utha (1-4)

  • ashshoor—parmeshvar ke krodh ki chhadi (5-11)

  • ashshoor ko sunayi saza (12-19)

  • yakub ke bache huye lauteinge (20-27)

  • parmeshvar ashshoor ko saza dega (28-34)

10  dhikkar hai un par jo aise niyam banate hain,jinse doosron ka nuksan hota hai,+aise aadesh jaari karte hain,jinse logon ka jeena doobhar ho jaata hai.   aise mein gareeb insaf ke liye fariyad nahin kar paata,mere deen-dukhiyon ko unka hak nahin mil paata.+woh vidhvaon aur anathon* ko loot ka maal samajhte hain.+   us din tum kya karoge, jis din tumse hisab liya jaayega?*+ jab door se tum par vinash aa padega,+tab madad maangne kiske paas bhaagoge?+ apni daulat* kahaan chhod jaaoge?   tumhare aage koi raasta nahin bachega,ya to tum kaidiyon ke beech dubakkar baithe hoge ya laashon ke dher mein mare pade hoge. fir bhi parmeshvar ka krodh shaant nahin hoga,balki tumhein maarne ke liye woh apna haath badhaye rakhega.+   “dekho, woh raha ashshoor!+woh mere krodh ki chhadi hai,+uske haath mein woh laathi hai jisse main apni jaljalahat dikhaunga.   main use us raashtra ke khilaf bhejoonga jisne mujhse munh mod liya hai,+un logon ke khilaf jinhonne mera krodh bhadkaya hai.main use hukm doonga ki woh unhein poori tarah loot le,unhein aise raund de jaise gali ka keechad raunda jaata hai.+   lekin uska jhukav kisi aur baat ki taraf hoga,uske man mein kuch aur hi chal raha hoga.woh desh ko mita dena chahta haiaur kuch deshon ko nahin balki kai deshon ko tabah karna chahta hai.   kyonki woh kehta hai,‘ye sab-ke-sab haakim jo mere adheen hain, pehale raja hua karte the.+   kya kalno,+ karkmeesh+ ki tarah nahin? kya hamat,+ arpad ki tarah nahin?+ kya saamriya,+ damishk ki tarah nahin?+ 10  mainne aise raajyon ko mutthi mein kiya hai jahaan nikamme devta pooje jaate the,jahaan yarooshalem aur saamriya se zyada devtaon ki moortein thi.+ 11  jo haal mainne saamriya aur uske nikamme devtaon ka kiya,kya vahi haal main yarooshalem aur uski moorton ka nahin kar sakta?’+ 12  jab yahova siyyon pahad aur yarooshalem mein apna sab kaam poora kar lega, tab woh* ashshoor ke raja ko uske man ki dhithai aur ghamand se chadhi aankhon ke liye saza dega.+ 13  kyonki ashshoor ne kaha tha,‘main apni taakat ke dam par,apni buddhi ke bal par yah sab karoonga kyonki main buddhiman hoon. main desh-desh ki seemayen tod doonga,+unka khazana loot loonga,+ek shoorveer ki tarah unke nivasiyon ko apne adheen kar loonga.+ 14  jaise ek aadmi ghonsle mein haath daalkar ande nikaal leta hai,vaise hi main desh-desh ke logon se unki daulat chheen loonga. jis tarah koi laavaris andon ko bator leta hai,usi tarah main poori prithvi ko bator loonga! koi pankh fadfadane, chonch kholne ya chin-chin karne ki jurrat bhi nahin karega.’” 15  kya kulhadi apne chalanevale se badi ho sakti hai? kya aara khud ko apne kaatnevale se bada bata sakta hai? kya laathi+ apne chalanevale ko chala sakti hai? ya chhadi use ghuma sakti hai jo use liye-liye firta hai? 16  isliye sachcha prabhu, senaon ka parmeshvar yahova,uske* hatte-katte logon ko peedit karke dubla bana dega,+woh uski shaan ko aag mein jalakar raakh kar dega.+ 17  ‘israel ki raushni’+ aag ban jaayegi,+pavitra parmeshvar aag ki lapton ki tarah dhadhak uthega,ek hi din mein uske jangli paudhe aur kanteeli jhaadiyaan bhasm ho jaayengi. 18  parmeshvar uske jangal aur falon ke baag ki shaan mitti mein mila dega,woh haal kar dega maano kisi rogi ka shareer ghulta jaa raha ho.+ 19  uske jangal mein itne kam ped reh jaayengeki bachcha bhi unhein gin lega. 20  us din israel mein jo log zinda bacheinge,yakub ke gharane ke bache huye log,fir kabhi uska sahara nahin leinge jisne unhein maara tha.+iske bajay, woh sachche man se israel ke pavitra parmeshvar ka,haan, yahova ka sahara leinge. 21  sirf kuch hi log, yakub ke bache huye log hi,shaktishali parmeshvar ke paas lauteinge.+ 22  hey israel, chahe tere logsamundar ki baaloo ke kinkon jaise anginat hon,magar unmein se sirf mutthi-bhar* lauteinge.+ parmeshvar ne tumhara vinash tay kar diya hai+aur jald hi uska dand* tum par aa padega.+ 23  saare jahan ka maalik aur senaon ka parmeshvar yahova,jo vinash laanevala hai woh poore desh par aa padega.+ 24  isliye saare jahan ka maalik aur senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “hey siyyon mein rehnevale mere logo, ashshoor se mat daro jo misra ki tarah tum par chhadi uthata hai+ aur laathi chalata hai.+ 25  kyonki thodi der mein meri jaljalahat shaant ho jaayegi. fir mera krodh us par bhadak uthega aur uska vinash kar dega.+ 26  senaon ka parmeshvar yahova use kodon se maarega,+ jaise usne oreb ki chattan ke paas midyaniyon ko maara tha.+ woh apni laathi samundar ke oopar uthayega, jaise usne misra ke khilaf uthayi thi.+ 27  us din ashshoor ke raja ka bojh tere kandhon se,uska jua teri gardan se utha liya jaayega+aur tel ke kaaran woh jua tod diya jaayega.”+ 28  usne ayyat+ par hamla kar diya hai,woh migron se hokar gaya hai,mikmash+ mein usne apna saaman chhoda hai, 29  usne nadi ka ghaat paar karke geba+ mein raat guzari hai,raamah thar-thar kaanp raha haiaur shaaool ka shehar giba+ bhaag khada hua.+ 30  hey galleem ki beti, cheekh-cheekhkar ro! hey laisha, dhyan de! ae anatot,+ dukh se chilla! 31  madmena bhaag gaya hai, gebeem ke rehnevalon ne kahin aur panah le li hai. 32  aaj ke din woh nob+ mein rukega. woh siyyon ki beti ke pahad ko,yarooshalem ki pahadi ko ghoonsa dikhakar dhamki dega. 33  dekho, sachcha prabhu, senaon ka parmeshvar yahova,is tarah tahniyaan kaatega ki bhayankar shor machega.+woh lambe-lambe pedon ko kaatkar gira dega,jo unche hain unhein neecha karega. 34  jangal ki ghani jhaadiyon ko kulhadi se kaat daalega,labanon ek shoorveer ke haathon giraya jaayega.

kai footnote

ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”
ya “shaan.”
ya “saza di jaayegi?”
shaa., “main.”
yaani “ashshoor ke,” jiska zikra aay. 5 aur 24 mein aata hai.
ya “bache huye log.”
ya “nyay.”