is brochure se poora faayda paaiye
kisi yahova ke sakshi ke saath charcha keejiye: jis sakshi ne aapko yah brochure diya hai, usse baat keejiye. ya fir hamari website jw.org/hi-latn par form bhariye. koi sakshi zaroor aapse sampark karega.
paath ka pehala bhaag
ek-ek karke paragraph padhiye. mote aksharon mein diye (1) saval aur (2) vachan mukhya muddon se jude hain. dhyan deejiye ki kuch vachnon ke aage “padhiye” likha hai.
paath ka doosra bhaag
aur jaaniye mein (3) sabse pehale likha hai ki aage kya bataya jaayega. (4) upsheershak se aap jaan sakte hain ki kis mudde par charcha hogi. vachan padhiye, savalon ke javab deejiye aur (5) video dekhiye.
(6) tasveeron ko gaur se dekhiye aur unke neeche jo likha hai, us par dhyan deejiye. sochiye ki (7) kuch log kehte hain mein jo likha hai, uske javab mein aap kya kaheinge.
paath ka teesra bhaag
(8) ab tak hamne seekha aur aap kya kaheinge? mein paath ka nichod diya gaya hai. paath poora hone par taareekh likhiye. har paath mein aapko ek (9) lakshya diya gaya hai, use poora karne ki koshish keejiye. aap chahein to (10) ye bhi dekhein mein diye lekh padh sakte hain aur video bhi dekh sakte hain.
bible mein vachan kaise nikaalein?
pehale (1) kitab ka naam, fir (2) adhyay aur (3) vachan ka number likha hai. jaise yuhanna 17:3 ka matlab hai, yuhanna ki kitab, adhyay 17 aur vachan 3.