is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

imandar kyon rahein?

imandar kyon rahein?

 kuch log beiman kyon hain

aaj ke zamane mein aisa lag sakta hai ki imandar rehne se nuksan hi hoga. kuch javan kehte hain:

  • ‘agar main mammi-paapa se jhooth na boloon to woh mujh par paabandiyaan laga deinge.’

  • ‘agar main is imtihan mein nakal na maaroon to fail ho jaaunga.’

  • ‘agar main yah cheez na churaun to ise khareedne ke liye mujhe paison ki bachat karni hogi.’

kuch log shaayad kahein, ‘vaise bhi kya fark padta hai? kya aajkal har koi beiman nahin hai?’

us saval ka javab hai nahin. kai log, yahaan tak ki bahot-se javan bhi maante hain ki imandari se faayda hota hai aur aisa kehne ki thos vajah bhi hai. bible kehti hai, “insan jo boyega, vahi kaatega bhi.” (galatiyon 6:7) doosre shabdon mein kahein to hum jo karte hain uska hamesha kuch-na-kuch nateeja hota hai, chahe achha ya bura.

misal ke liye, gaur keejiye ki kuch logon ko jhooth bolne ki vajah se kaise bure anjam bhugtne pade.

“kisi ladke se baat karne ke maamle mein ek baar mainne apni mammi se jhooth bola tha. mammi ke paas pakke saboot the ki main jhooth bol rahi thi. jab mainne is baare mein teesri baar jhooth bola to mammi ko bahot bura laga. do hafte ke liye mujhe saza the gayi ki main koi man-bahlav nahin kar sakti aur ek maheene tak cell phone istemal karne aur tv dekhne par paabandi laga the gayi. iske baad fir kabhi mainne mammi-paapa se jhooth nahin bola!”—anita.

zara sochiye: anita ko apni mammi-paapa ka bharosa jeetne mein thoda vakt kyon lagega?

bible kehti hai: “jab tumne jhooth ko apne se door kiya hai, to tummein se harek apne padosi se sach bole.”—ifisiyon 4:25.

“mainne mammi-paapa se jhooth bola tha aur socha tha ki main bach gaya. lekin kuch vakt baad unhonne kaha ki main fir se bataun ki mainne unse kya kaha tha. magar mainne aisi kahani banayi thi ki mujhe khud hi yaad nahin aa raha tha ki mainne kya kaha tha. isliye agar hum shuroo mein hi sach bol dein to baad mein aisi museebat nahin aayegi!”—anthony.

zara sochiye: anthony is tarah sharminda hone se kaise bach sakta tha?

bible kehti hai: “jhoothon se yahova ko ghrina aati hai, parantu jo vishvas se kaam karte hain, un se woh prasanna hota hai.”—neetivachan 12:22.

“meri ek saheli hai jo hamesha apni kahani mirch-masala lagakar sunati hai. kuch baatein woh badha-chadhakar kehti hai aur kuch baaton ka to uski kahani se koi matlab hi nahin hota. mujhe woh ladki bahot achhi lagti hai aur koshish karti hoon ki uski baaton par zyada dhyan na doon. lekin uski baaton par yakeen karna ya us par bharosa karna bahot mushkil hai.”—yvonne.

zara sochiye: yvonne ki saheli badha-chadhakar bolkar aur jhoothi baatein kehkar kaisa naam kama rahi hai?

bible kehti hai: “hum sab baaton mein imandari se kaam karna chahte hain.”—ibraniyon 13:18.

jaise buniyad mein darar padne se poori imarat kamzor pad sakti hai, vaise hi beiman hone se aapka achha naam kharab ho sakta hai

 imandari kyon faaydemand hai

ab dhyan deejiye ki imandar rehne se aapko kya faayda ho sakta hai.

“ek baar jab mere aage ek aurat chal rahi thi to uske kuch paise gir gaye. mainne use bulaya aur uske paise lauta diye. woh bahot khush hui. usne mujhse kaha, ‘bahot-bahot shukriya. tumhare jaise imandar log bahot kam milte hain.’ mujhe bahot achha laga ki usne meri imandari ki taareef ki!”—vivian.

zara sochiye: us aurat ko aisi imandari dekhkar kyon hairani hui? imandar hone ki vajah se vivian ko kya faayda hua?

bible kehti hai: sukhi hain woh jo sahi kaam karte hain.—bhajan 106:3.

“hamara poora parivar milkar imarton ki saaf-safai ka kaam karta hai. kabhi-kabhi hamein kisi office ki saaf-safai karte vakt farsh par koi sikka pada hua milta hai. tab hum paasvali kisi tebal par use rakh dete hain. ek baar to vahaan kaam karnevali ek aurat yah dekhkar chidh gayi ki hum itne imandar kyon hain. usne kaha, ‘yah bas ek sikka hi to hai!’ magar pata hai iska nateeja kya hua? us aurat ko poora bharosa ho gaya ki hum imandar log hain.”—julia.

zara sochiye: julia ne imandar hone ka jo naam kamaya hai, uska use tab kaise faayda hoga jab use kisi aur naukri ke liye character certificate ki zaroorat hogi?

bible kehti hai: “tu apna bharsak kar taaki khud ko parmeshvar ke saamne ek aise sevak ki tarah pesh kar sake jo uski manzoori paaye aur jise apne kaam par sharminda na hona pade.”—2 timuthiyus 2:15.

“mainne 64 ghante kaam kiye the magar mujhe tanakhvah mein 80 ghanton ka chaik diya gaya. agar main woh chaik rakh leti to mujhe bahot faayda hota, magar main aisa karne ki soch bhi nahin sakti thi. isliye mainne accounting mainager ko bataya ki mujhe zyada rakam mil gayi hai. woh bahot khush hui. company achhi tarakki kar rahi thi, fir bhi main woh paise nahin rakh sakti thi kyonki woh chori ke paise ke barabar the.”—bethany.

zara sochiye: kisi company ke paise churana kya kisi insan ke paise churane se kam beimani hai?

bible kehti hai: “yahova kutil [kapti] se ghrina karta hai, parantu woh apna bhed seedhe logon par kholta hai.”—neetivachan 3:32.