is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

mujhe prarthna kyon karni chahiye?

mujhe prarthna kyon karni chahiye?

ek survey ke mutabik amreeka ke 80 pratishat javan prarthna karte hain, lekin sirf 40 pratishat aise hain jo roz prarthna karte hain. inmein se kuch sochte hain, ‘kya prarthna karne se sirf man ki shaanti milti hai ya iske kuch aur bhi faayde hain?’

 prarthna karne ka kya matlab hai?

prarthna karne ka matlab hai is duniya ke bananevale se dil se baat karna. zara sochiye ki yah hamare liye kitne bade samman ki baat hai! yahova insanon se har baat mein mahan hai, fir bhi “woh hammein se kisi se bhi door nahin hai.” (preshiton 17:27) yahaan tak ki bible mein hamein ek behtareen nyauta diya gaya hai, “parmeshvar ke kareeb aao aur woh tumhare kareeb aayega.”—yakub 4:8.

aap parmeshvar ke kareeb kaise aa sakte hain?

  • ek tareeka hai prarthna karke, iske zariye aap parmeshvar se baat karte hain.

  • ek aur tareeka hai bible padhkar, iske zariye parmeshvar aapse “baat” karta hai.

jab prarthna ke zariye aap parmeshvar se baat karte hain aur bible ke zariye jab woh aapse baat karta hai, to uske saath aapki dosti aur gehri ho jaati hai.

“yahova se baat karna yaani is jahan ke maalik se baat karna, hum insanon ke liye ek bahot bada samman hai.”—jeremy.

“prarthna mein yahova se apne dil ki baat kehne se main uske kareeb mehsoos karti hoon.”—miranda.

 kya parmeshvar hamari prarthnayen sunta hai?

ho sakta hai koi parmeshvar ko maanta ho aur usse prarthna karta ho, tab bhi shaayad uske liye yah maanna mushkil ho ki parmeshvar sach mein hamari prarthnayen sunta hai. magar bible mein yahova ko “prarthna ka sunnevala” kaha gaya hai. (bhajan 65:2) bible yah bhi nyauta deti hai ki “tum apni saari chintaon ka bojh usi par daal do.” kyon? “kyonki use tumhari parvah hai.”1 patras 5:7.

zara sochiye: kya aap har roz apne jigri doston se baat karte hain? agar haan to aap parmeshvar se bhi roz baat kar sakte hain. yahova ka naam lekar roz usse prarthna keejiye. (bhajan 86:5-7; 88:9) ji haan, bible kehti hai, “lagatar prarthna karte raho.”—1 thisslunikiyon 5:17.

“prarthna ke zariye main swarg mein rehnevale apne pita se baat karta hoon aur use apne dil ki ek-ek baat batata hoon.”—moises.

“yahova se main khulkar baat karti hoon, jaise apni mammi ya kisi kareebee dost se karti hoon.”—karen.

 main kin baaton ke baare mein prarthna kar sakta hoon?

bible batati hai, “har baat ke baare mein prarthna aur minnaton aur dhanyavad ke saath parmeshvar se bintiyaan karo.”—filippiyon 4:6.

kya iska matlab hai ki hum parmeshvar ko apni pareshaniyaan bhi bata sakte hain? haan bilkul bata sakte hain. bible mein to yahaan tak likha hai ki “apna saara bojh yahova par daal de, woh tujhe sambhalega. woh nek jan ko kabhi girne nahin dega.”—bhajan 55:22.

lekin yah bhi sach hai ki aapko parmeshvar ko sirf apni pareshaniyaan nahin batani chahiye. chantelle naam ki ladki kehti hai, “agar main yahova se sirf madad hi maangti rahoon to main ek achhi dost nahin kehlaungi. mujhe lagta hai ki prarthna karte vakt hamein sabse pehle use shukriya kehna chahiye aur woh bhi sirf kuch baaton ke liye nahin balki zyada-se-zyada baaton ke liye.”

zara sochiye: aap kin baaton ke liye yahova ke ehsanmand hain? kya aap aisi teen baaton ke baare mein soch sakte hain jinke liye aap aaj yahova ko shukriya kehna chaheinge?

“chhoti-chhoti baaton par, jaise sundar-saa fool dekhkar bhi hamara man kar sakta hai ki hum yahova ko shukriya kahein.”—anita.

“agar bible ki koi aayat aapka dil chhoo le ya kudrat ki koi khoobsoorat cheez aapko pasand aaye, to uske baare mein sochiye aur fir unke liye yahova ko shukriya kahiye.”—brian.