is jaankari ko chhod dein

kya bible mein insanon ki buddhi-bhari baatein likhi hain?

kya bible mein insanon ki buddhi-bhari baatein likhi hain?

shastra se javab

bible ko pavitra shastra bhi kaha jaata hai. ismein bahot-si buddhi-bhari kahavatein likhi hain. lekin, gaur keejiye ki bible apne baare mein kya daava karti hai: “poora shastra parmeshvar ki prerna se likha gaya hai.” (2 timuthiyus 3:16) is daave ko sach saabit karne ke liye kaafi saboot hain. zara in baaton par dhyan deejiye:

  • bible mein itihas ke baare mein jo bataya gaya hai, use aaj tak koi bhi galat saabit nahin kar paaya hai.

  • bible ke lekhak imandar log the, jinhonne bina kuch chhipaye baaton ko darz kiya. unki imandari se saaf pata chalta hai ki unki likhi hui baatein sachchi hain.

  • bible ka ek mukhya vishay hai: insanon par raaj karne ke parmeshvar ke hak ko sahi saabit karna aur swarg ke raaj ke zariye uska maksad poora karna.

  • haalaanki bible hazaron saal pehle likhi gayi thi, fir bhi bible mein vigyan se judi aisi koi bhi galat dhaarnayen nahin, jinhein purane zamane ke zyadatar log sach maante the.

  • itihas mein darz saboot dikhate hain ki bible ki bhavishyavaniyaan, ya bhavishya ke baare mein kahi gayi baatein poori hui hain.