ishvar ne hamein kyon banaya?
shastra se javab
zindagi ka maksad kya hai? yah saval kuch is tarah bhi poochha jaa sakta hai jaise, hum is duniya mein kyon aaye? ya kya meri zindagi ka koi maksad hai? pavitra shastra mein likha hai ki hamari zindagi ka maksad yah hai ki hum parmeshvar ke dost banein. is vishay se judi kuch sachchaiyaan jo shastra mein darz hain, unke baare mein jaaniye.
parmeshvar hamara srishtikarta hai. shastra kehta hai ki parmeshvar ne hamein banaya hai.—bhajan 100:3; prakashitvakya 4:11.
parmeshvar ne jo kuch banaya un sabka koi-na-koi maksad hai. hamein banane ka bhi ek maksad hai.—yashayah 45:18.
parmeshvar ne hamein is tarah banaya ki hamare andar usse “maargdarshan paane ki bhookh hai.” (matti 5:3) woh hamari is zabardast ichha ko poora karna chahta hai.—bhajan 145:16.
hum apni yah bhookh ya ichha tabhi poori kar paayenge jab hum parmeshvar ke dost baneinge. haalaanki kuch logon ko is baat par yakeen karna mushkil lagta hai ki hum parmeshvar ke dost ban sakte hain. magar shastra badhava deta hai ki “parmeshvar ke kareeb aao aur woh tumhare kareeb aayega.”—yakub 4:8; 2:23.
agar hum parmeshvar ke dost banna chahte hain, to zaroori hai ki hum us maksad ke mutabik jeeyen jis maksad se usne hamein banaya hai. woh maksad kya hai? sabhopdeshak 12:13 kehta hai, “parmeshvar ka bhay maan aur uski aagyaon ka paalan kar; kyonki manushya ka sampoorna karttavya yahi hai.”
bhavishya mein hum poori tarah parmeshvar ke us maksad ke mutabik ji paayenge jis maksad se usne hamein banaya hai. us vakt parmeshvar dukh-takleefon ko khatm kar dega aur woh un logon ko hamesha ki zindagi dega jo uske dost hain aur uski upasna karte hain.—bhajan 37:10, 11.