punrutthan ka kya matlab hai?
shastra se javab
bible mein “mare huon mein se ji uthne” ya “punrutthan” ke liye yoonani shabd aanastasees ka istemal kiya gaya hai, jiska matlab hai “khada hona” ya “dobara khada hona”. jab ek vyakti mare huon mein se ji uthta hai, to woh vaapas apni purani zindagi paata hai, na ki dobara janm leta hai.—1 kurinthiyon 15:12, 13.
shabd “punrutthan” ibrani shastra ya purane niyam mein nahin paaya jaata, lekin is shiksha ki shurooat vahin se hui. misal ke liye, hoshe nabee ke zariye parmeshvar ne vaada kiya “main usko adholok [kabra, n.w] ke vash se chhuda loonga aur mrityu se usko chhutkara doonga.”—hoshe 13:14; ayyoob 14:13-15; yashayah 26:19; daaniyel 12:2, 13.
logon ka punrutthan kahaan hoga? marne ke baad, kuch log yeeshu ke saath raaj karne ke liye swarg mein ji uthaye jaayenge. (2 kurinthiyon 5:1; prakashitvakya 5:9, 10) swarg mein ji uthne ko bible “pehla punrutthan” aur ‘pehle ji uthaya jaana’ kehti hai. isse pata chalta hai ki doosra punrutthan bhi hoga. (prakashitvakya 20:6; filippiyon 3:11) baad mein honevala yah doosra punrutthan, unka hoga jo dharti par jeevan paayenge. bahot-se log is punrutthan se faayda paayenge aur jeevan ka maza leinge.—bhajan 37:29.
logon ka punrutthan kaise hoga? parmeshvar ne mare huye logon ko ji uthane ke liye yeeshu ko shakti di hai. (yuhanna 11:25) yeeshu un sabhi ka punrutthan karega “jo smarak kabron mein hain” aur unhein unki shakhsiyat, pehchan aur yaaddasht lautayega. (yuhanna 5:28, 29) jinhein swarg ki aasha hai, unhein punrutthan hone par ek adrishya ya aatmik shareer milega aur jinhein dharti par jeene ki aasha hai, unhein ek sehatmand shareer milega.—yashayah 33:24; 35:5, 6; 1 kurinthiyon 15:42-44, 50.
kin logon ka punrutthan hoga? bible mein likha hai, “achhe aur bure, donon tarah ke log mare huon mein se ji utheinge.” (preshiton 24:15) nooh, saara aur abraham bhi in achhe ya nek logon mein shaamil hain, jo parmeshvar ke vafadar rahe hain. (utpatti 6:9; ibraniyon 11:11; yakub 2:21) bure unhein kaha gaya hai, jinhein parmeshvar ke baare mein jaanne aur uske niyamon ke mutabik chalne ka mauka nahin mila.
kuch log sudharna hi nahin chahte. jab in dushton ki maut hoti hai, to unka hamesha ke liye naash ho jaata hai. unhein punrutthan ki koi aasha nahin hai.—matti 23:33; ibraniyon 10:26, 27.
mare huye log kab ji uthaye jaayenge? bible mein bhavishyavani ki gayi thi ki yeeshu ki maujoodgi ke dauran woh log ji uthaye jaayenge, jinhein swarg ki aasha hai. (1 kurinthiyon 15:21-23) yah daur 1914 se shuroo hua jab yeeshu raja bana. jinhein dharti par firdaus mein jeene ki aasha hai, woh yeeshu maseeh ke hazar saal ke raaj ke dauran ji uthaye jaayenge.—luka 23:43; prakashitvakya 20:6, 12, 13.
hum punrutthan ki shiksha par kyon yakeen kar sakte hain? bible mein aise nau logon ka zikra hai, jinka punrutthan hua. aur har punrutthan ke chashmadeed gavah rahe hain. (1 raja 17:17-24; 2 raja 4:32-37; 13:20, 21; luka 7:11-17; 8:40-56; yuhanna 11:38-44; preshiton 9:36-42; 20:7-12; 1 kurinthiyon 15:3-6) inmein se ek vyakti laazar ka punrutthan bahot hi khaas tha, kyonki jab yeeshu ne use zinda kiya tab use mare chaar din ho chuke the. (yuhanna 11:39, 42) jo log yeeshu ka virodh karte the, woh bhi is ghatna ko jhuthla nahin sake. isliye unhonne yeeshu aur laazar ko jaan se maarne ki saazish rachi.—yuhanna 11:47, 53; 12:9-11.
bible batati hai ki parmeshvar mare huon ko zinda karne ki kaabileeyat aur ichha rakhta hai. uski yaaddasht aur shakti ki koi seema nahin hai. aaj jitne bhi maut ki nind mein hain, parmeshvar harek ko apni yaad mein mehfooz rakhta hai aur apni shakti se unhein dobara zinda karega. (ayyoob 37:23; matti 10:30; luka 20:37, 38) parmeshvar na sirf mare huon ko zinda karne ki taakat rakhta hai, balki woh aisa karne ki chaahat bhi rakhta hai. bible batati hai, use ‘apne haath ke banaye huye kaam ki abhilasha hoti hai.’—ayyoob 14:15.
punrutthan se judi kuch galatfhamiyaan
galatfhami: kuch logon ka punrutthan hoga aur turant unka naash kiya jaayega.
sachchai: bible mein likha hai ki ‘jo dusht kaamon mein lage rehte hain, unka ji uthna saza paane ke liye hoga.’ (yuhanna 5:29) logon ko saza is aadhar par nahin di jaayegi ki unhonne marne se pehle kya kaam kiye the. balki is aadhar par ki punrutthan ke baad vo kis tarah ki zindagi jeete hain. yeeshu ne kaha: “mare huye, parmeshvar ke bete ki aavaz suneinge aur jinhonne uski baat maani hai woh jeeyenge.” (yuhanna 5:25) jo log punrutthan ke baad parmeshvar ki aavaz suneinge ya uski baat maaneinge, unka naam “jeevan ki kitab” mein likha jaayega.—prakashitvakya 20:12, 13.
galatfhami: marne se pehle ek vyakti ka jo shareer tha, ji uthne par use vahi shareer milega.
sachchai: jab ek vyakti ki maut ho jaati hai, to uska shareer poori tarah mitti mein mil jaata hai.—sabhopdeshak 3:19, 20.