main kin baaton ke liye prarthna kar sakta hoon?
shastra se javab
aap aisi har baat ke liye prarthna kar sakte hain jo bible mein darz parmeshvar ki marzee ke mutabik hai. bible kehti hai, ‘hum parmeshvar ki marzee ke mutabik chahe jo bhi maangein woh hamari sunta hai.’ (1 yuhanna 5:14) kya aap apni chintaon ke baare mein bhi prarthna kar sakte hain? ji haan. bible mein likha hai: ‘parmeshvar ke aage apna dil kholkar rakh do.’—bhajan 62:8.
udahran ke liye, aap in baaton ke liye prarthna kar sakte hain
parmeshvar par apna vishvas badhane ke liye.—luka 17:5.
parmeshvar ki pavitra shakti ke liye taaki aap sahi kaam kar sakein.—luka 11:13.
museebaton aur pareekshaon ka saamna karne ki himmat ke liye.—filippiyon 4:13.
man ki shaanti ke liye.—filippiyon 4:6, 7.
buddhi ke liye taaki aap sahi faisle le sakein.—yakub 1:5.
har din ki zarooraton ke liye.—matti 6:11.
galtiyon ki maafi ke liye.—matti 6:12.